Wednesday, December 18, 2019

Kuch Ishq Kia Kuch Kaam Kia ~ Faiz Ahmed Faiz

Woh log bohat khush kismat thay
Jo ishq ko kaam samajhte thay 
Ya kaam se aashiqui rakhte thay
Hum jeete ji masroof rahe
Kuch ishq kia kuch kaam kia
Kaam ishq ke aaray aata raha
Aur ishq se kaam ulajhta raha
Phir aakhir tang aakar humne
Dono ko adhura chor dia

~ Faiz Ahmed Faiz

Monday, December 9, 2019

Chand

tu woh chand hai jisko mai paana nahi chahati

par tujhe dekhne ka ek bhi mauqa gawana nahi chahati

tujhe dur se chahana manzoor hai mujhe

meri iss ibaadat pe guroor hai mujhe

tujhe apnay lafzo mai chupa k rakhungi

apni shairi mai basa k rakhungi

chand sa hai tu

teri chandni nahi

mai khudh ko zameen bana k rakhungi...