Tuesday, August 4, 2020

Mumkin hai chasm-e-nam ko sitara na kar sako...




Mumkin hai chashm-e-nam ko sitara na kar sako


Mumkin hai tum bhi koi ishaara na kar sako


Mumkin hai zeher de kar ata kar do zindagi


Mumkin hai yeh karam bhi dubara na kar sako


Mumkin hai mera hukum bhi tum ko qabool ho


Mumkin hai iltija bhi gawara na kar sako


Mumkin hai dau qadam pe badal jao rasta


Mumkin hai umar bhar bhi kinara na kar sako


Mumkin hai mere bagair bhi guzre zindagi


Mumkin hai apne sath bhi guzara na kar sako


Mumkin hai chasm-e-nam teri tera guroor ho


Mumkin hai ke ye aag pani se dur ho

Mumkin hai sair karay ye zeher ragoun main


Mumkin hai zeher ka asar dur dur ho


Mumkin hai ke mumkin na ho yun mera palatna


Mumkin hai iztarab main bhi kuch suroor ho


Mumkin hai aa bhi jao tum mere khayal main


Mumkin hai dur dur ho, dur dur ho..


~Ahsan Talish

Friday, July 31, 2020

Mujh Jaisi Larki ...



Akeli khoyi khoyi si woh alhar larki
Ishq mai jaagi soyi si woh diwani larki

kaano mai jhumke, chaal mai angrayi
Ek diwanay se dil laga aayi

Sab ne kaha paagal hogayi hai, paagal larki
Ishq mai jaagi soyi si woh diwani larki

Na duniya ki samajh, na sahi aur galat ka faraq
Ishq ke rang se rang dia apne dil ka waraq

Na tajurba na samajhdari, bari kam sin thi woh
toofan mai kashti utaray, bari masoom thi woh

Ishq ki kamayi se ghar ghar khelti
apni dhun mai mast woh meera si larki

Chaand se dil laga kar, zameen se wafaye maanghti
hawaon se larne wali woh patang si larki

Jab aankh khuli, tau thi nahi woh ab bhi woh choti si larki
dil ko hatheli pe paros ke dene wali woh bholi si larki

Kehtay hain kuch bhari sa guzra tha uske naram se seenay ke upar
ab zara naap taul ke hansti hai woh maan mauji si larki

Haqeeqat darwazay per dastak de rahi thi
bhala palakh jhapkati tau kiske liye woh sapno jaisi larki

Samait ke apni aabro phir se qalam uthayegi
khudh apni kahani likhe gi woh ziddi si larki

Purza purza kar joregi woh apna seena
himmat karke phir dil lagayegi woh dilare si larki

Lafzo ko dhaal bana kar har muqaam paayegi
khudh hi khudh se baatein karne wali woh kitabon si larki

Teekhi si, meethi si, woh hirni si larki
aainay mai dekhun tau, mujh jaisi hi woh... "Mujh jaisi larki"



Suna hai log ussay aankh bhar k dekhte hain....


Suna hai log ussay aankh bhar k dekhte hain
So usske sheher main kuch din thaher k dekhte hain

Suna hai rabt hai usko kharab-halon se
So apne aapko barbaad karke dekhte hain

Suna hai dard k ghahak hain chashm-e-naz uske
So hum bhi uski gali se guzar k dekhte hain

Suna hai k bolein tau baton se phool jharte hain
Ye baat hai tau chalo baat kar ke dekhte hain

Suna hai raat use chaand takta rehta ahi
Sitare baam-e-falak se uatar ke dekhte hain

Bas ek nigaah se loot ta hai qafila dil ka
Agar who khwab hai tau taabir karke dekhte hain

Ab uss ke sheher mein thehrein ke kuch kar jayen
Faraz aao sitarey safar ke dekhte hain…

Sunday, January 5, 2020

mai tumse pyaar nahi karti

Mai tumse pyaar nahi karti
Ye baat aur hai ke tumse baatein karte karte
kahan kho jati hun 
pata hi nahi chalta

kiu waqt ka ehsaas hona mano
tham sa jata hai 
pata hi nahi chalta

har baat pe tumse larti hun
har waqt tumse shikayat karti hun
haan iss baat se mai inkaar nahi karti
magar mai tumse pyar nahi karti

mujhko hasna sikhaya hai tumne
jeenay ka hunar bataya hai tumne
mujhko mujhse milaya hai tumne
kia hun mai, kesi hun mai
iss baat se waqif karaya hai tumne

tumhari aankho se khudh ko dekha hai maine
iss baat se mai inkaar nahi karti
magar mai tumse pyar nahi karti

jaanti hun mai k tumko bandhna mushkil hai
unchay khwab hain tumhare aasmano mai kahi
azaad parinday ho tum jiske dairay nahi kahi
nahi thairte tum kahi bhi kabhi bhi
magar najanay kiu tumhe kiu 
tumhe apni iss unglio mai baandh k rakhna chahati hun
haan iss baat se mai inqaar nahi karti
magar mai tumse pyar nahi karti

Roti hun tumhare liye ab bhi 
jab yaad karti hun woh waqt jo
guzara tumne mere saath
bas wohi din tha, wohi din hai
mere paas ab
wohi yaadein, wohi kissay, wohi hansi
wohi ehsaas ab 
tarapti hun
bilakti hun
magar mai kuch nahi kehti
ke waada tum ne hi lia tha mujhse k
mujhe pyaar mat karna
mai hun azaad parinda ek
mera intezar mat karna
na dil mujhe k mai na de paonga badlay mai kuch tumhein
faqat reh jayengay ye ansoo jo tarpayengay har waqt tumhein
tum woh nahi jisse mai dhundh raha hun
hain meri manzilein kuch aur
ek tumhi nahi ho
bas issi waaday ki khatir
mai apni mohabbat ka kabhi izhar nahi karti
bas issi waaday ki khatir
kabhi iqrar nahi karti
issi liye kehti hun hamesha k
mai tumse pyar nahi karti

Ek Lafz Mohabbat Hai...

Ek lafz mohabbat hai
ussay kar ke dekho tau
barbaad na hojao
tau mera naam badal dena

Ek lafz muqaddar hai
uss se lar ke dekho tau
haar na jao
tau mera naam badal dena

Ek lafz wafa hai
jo dunia mai milti nahi kahi
kahi se agar mil jaye
tau mera naam badal dena

Ek lafz aansu hai
usse dil mai chupa kar tau dekho tum
aankho se beh na jaye
tau mera naam badal dena

Ek lafz judai hai
usse seh k dekho
toot kar na bikhar jao
tau mera naam badal dena
barbaad na hojao
tau mera naam badal dena