Friday, July 31, 2020

Mujh Jaisi Larki ...



Akeli khoyi khoyi si woh alhar larki
Ishq mai jaagi soyi si woh diwani larki

kaano mai jhumke, chaal mai angrayi
Ek diwanay se dil laga aayi

Sab ne kaha paagal hogayi hai, paagal larki
Ishq mai jaagi soyi si woh diwani larki

Na duniya ki samajh, na sahi aur galat ka faraq
Ishq ke rang se rang dia apne dil ka waraq

Na tajurba na samajhdari, bari kam sin thi woh
toofan mai kashti utaray, bari masoom thi woh

Ishq ki kamayi se ghar ghar khelti
apni dhun mai mast woh meera si larki

Chaand se dil laga kar, zameen se wafaye maanghti
hawaon se larne wali woh patang si larki

Jab aankh khuli, tau thi nahi woh ab bhi woh choti si larki
dil ko hatheli pe paros ke dene wali woh bholi si larki

Kehtay hain kuch bhari sa guzra tha uske naram se seenay ke upar
ab zara naap taul ke hansti hai woh maan mauji si larki

Haqeeqat darwazay per dastak de rahi thi
bhala palakh jhapkati tau kiske liye woh sapno jaisi larki

Samait ke apni aabro phir se qalam uthayegi
khudh apni kahani likhe gi woh ziddi si larki

Purza purza kar joregi woh apna seena
himmat karke phir dil lagayegi woh dilare si larki

Lafzo ko dhaal bana kar har muqaam paayegi
khudh hi khudh se baatein karne wali woh kitabon si larki

Teekhi si, meethi si, woh hirni si larki
aainay mai dekhun tau, mujh jaisi hi woh... "Mujh jaisi larki"



No comments:

Post a Comment